Tham jau,Ruk jau ,Theher jau
Par Khatam kaise ho jau
Ho bhi jau to pata na chale
Khud se khud ko “na” na keh pau
Zameen ke andar chup jau
Ya Asman se upaar udu??
Kuch chizo ko bas “na” kahu
To hi behtar hai
Dil ko dimag se door rakhu to behtar hai
Kuch Cheezo ko CLEAR na hi karu to behtar hai
Kuch Jasbaato ko… kuch geetoon ko.. na hi chedu to behtar hai
Khatam bas…na karu to hi behtar hai
Na Haan Na “Naa” karu to behtar hai
Tham kar na ruk paau…
Theher ke khatam na kar pau
Chal kar zinda rakhu ya maar du
Par bas Jyada na kahu,na sochu
ye hi behtar hai
Ye Samundar
Ye aasman
aur ye behti hawayeen sab hi to
behtar hai!
Happy reading❤
Yours loving warrior
Naina